Khuda Padar Ko Na Dikhlaye Marg e Rahat e Jaan
Khuda padar ko na dikhlaye marg-e-raahat-e-jaa’n
Khuda padar ko na dikhlaaye marg-e-raahat-e-jaa’n
Kaleja zakhmi ho jab dil ko phir qaraar kahaa’n
Udhar to seena e Akbar se guzri nok e sina
Idhar lahoo hua chashm e Imaam e dee’n se rawaa’n (x2)
Tadap ke jaanib e gardoon nigaah ki Sheh ne
Zameen hill gayee ye kaisi aah ki Sheh ne (x2)
Pukartay huay dauday mere shaheed pisar
Mere jawaa’n mere meh rooh mere saeed pisar
Mere hasee’n mere yousuf mere rasheed pisar
Qareeb ho kahee’n maidan se ya ba’eed pisar
Falak pe aaj nayee waardaat hai beta
Khabar nahi hamain din hai ke raat hai beta (x2)
Kidhar gaye mere gul pairahan Ali Akbar
Mere khaleekh mere kam sukhan Ali Akbar
Jawaan e marg ghareeb-ul-watan Ali Akbar (x2)
Ujaad kar gaye mera chaman Ali Akbar
Bula ke ghar se yahan ashqiyaa ne loot liya
Duhaai hai ke mujhe karbala ne loot liya (x2)
Pukaari dawdhi se bano pisar mila ke nahi (x2)
Batao marham-e-zakhm-e-jigar mila ke nahi
Sitam ke abr mein mera qamar mila ke nahi
Ali ke laal wo aali gohar mila ke nahi (x2)
Shitaab lao mere mannatoa’n ke paalay ko
Tumhi se loongi main apnay muradoa’n waalay ko (x2)
Hussain kehtay thay woh dilruba nahi milta
Kisi taraf mera yusuf laqa nahi milta
Ghazab hua woh dur e be baha nahi milta
Tumharay laal ka Bano pata nahi milta
Kahan andheray mein us rashk e maah ko dhoondoon
Pisar ko dhoondoon ke noor e nigaah ko dhoondoon (x2)
Dua karo ke woh khursheed e mashraqain milay
Basarat aankhon mein aaye jo noor e aein milay
Suroor qalb ko ho aur jigar ko chayn milay
Jo apnay khoye huay laal se Hussain milay (x2)
Uduu to bekas o ranjhoor hum ko jaantay hain
Hum is zaeefi mein jungle ki khaak chaantay hain (x2)
Sada ye suntay hi Sultan-e-behr-o-barr aaye
Ye dard-e-dil tha ke thaamay huwe jigar aaye
Kabhi to fauj mein manind-e-sher-e-nar aaye
Kabhi udhar gaye dauday kabhi idhar aaye (x2)
Luti hui wo kamaayi basad talaash mili
Zameen pe khoon mein ghaltaan pisar ki laash mili (x2)
Ajeeb haalat-e-farzand-e-naujawan dekhi (x2)
Atash se hontoan pe nikli hui zabaa’n dekhi
Qamar se chehray pe zardi laboan pe jaan dekhi
Kaleja phat gaya seenay mein jab sina dekhi (x2)
Padar ke saamnay betay ka dam ukhadta tha
Hussain dekhtay thay aur ghar ujadta tha (x2)
Qareeb laash-e-pisar baith ke ye farmaaye
Zameen-e-garm se beta utho ke hum aaye
Sada ye sunte hi Akbar ne haath phailaaye (x2)
Lipat ke laash se Shah lab pa ye sukhan laaye
Galay lagaalo ke Muhammad ka main nawaasa hoon
Zaban dikha ke kaha ke Hussain pyaasa hoon (x2)
Khuda padar ko na dikhlaaye marg e raahat e jaan
Khuda padar ko na
Other marsiya writeups on this website
https://www.abulhasanlakhani.com/category/marsiya/