Kis aalam e ghurbat mein giraftar hai Zainab S.A
کس آلمِ غربت میں گرفتار ہے زینب
اِک دن میں بَہَتّر کی عزادار ہے زینب
جن بیبیوں کے والی و وارث نہیں باقی
اُن بِیبیوں کی قافلہ سالار ہے زینب
زینب سے یہ کہتی تھی مُحبّت شہِ دیں کی
بِن بھائ کے جینا تیرا دُشوار ہے زینب
سونے کے لیے باپ کے سینے پہ سَکینہ
ظِد کرتی ہے پر کیا کرے لاچار ہے زینب
لوگوں یہ قیامت کی گھڑی ہے کہ نہیں ہے
بے مَکنہ و چادر سَرِ دَربار ہے زینب
سُورج سے یہ کہ دو کے چلا جاۓ گِھَن میں
سَر ننگے ہے اور کوفے کا بازار ہے زینب
روضے پہ بلا لیجیۓ اِس خستہ جگر کو
صابرٓ بھی تیرے بھائ کاغمخوار ہے زینب
Kis aalam e ghurbat mein, giraftaar hai Zainab
Ik din main bahattar ki, azadaar hai Zainab
Kis aalam e ghurbat mein…
Jin bibiyon ke waali o waaris nahi baaqi (x2)
Un bibiyon ki qaafila, salaar hai Zainab
Kis aalam e ghurbat mei…
Zainab se ye kehti thi muhabbat shah e deen ki (x2)
Bin bhai ke jeena tera, dushwaar hai Zainab
Kis aalam e ghurbat mei…
Sonay ke liye baap ke seenay pe Sakina (x2)
Zidd karti hai par kya karay, lachaar hai Zainab
Kis aalam e ghurbat mein…
Logo ye qayaamat ki ghadi hai ke nahi hai (x2)
Be maqna o chaadar sar e, darbaar hai Zainab
Kis aalam e ghurbat mei…
Suraj se ye keh do ke chala jaaye gahan mein (x2)
Sar nangay hai aur kufe ka bazaar hai Zainab
Kis aalam e ghurbat mei…
Rauzay pe bula lijiye is khasta jigar ko (x2)
Sabir bhi tere bhai ka, ghamkhwar hai Zainab
Kis aalam e ghurbat mei…
Check out other kalaams of Zeya Jalalpuri
https://www.abulhasanlakhani.com/category/soz-o-salaam/zeya-jalalpuri/
Check out Zeya Jalalpuri’s YouTube Channel for all his work
https://www.youtube.com/@Al-GhadeerMedia