Koi ghaibat mein baitha khoon ke aansoo bahata hai (x2).
Usay Zainab ka jab (x2) bazaar jaana yaad aata hai.
Koi Ghaibat mein… (x2)
Koi ghamkhwar ghaibat mein mayassar hi nahi us ko.
So tanhaayi mein har (x2) noha wo khud ko hi sunata hai.
Koi ghaibat mein… (x2)
Unhi galiyo’n mein chal chal kar jahaa’n chalti rahi Zainab (x2).
Nisha’n Zainab ke kadmo’n (x2) ke wo haatho’n se mitata hai.
Koi ghaibat mein… (x2)
Baqiyyay mein sada-e-wa Hussaina goonj uthti hai (x2).
Wo jab bhi qabr-e-Zehra (x2) aa ke seenay se lagata hai.
Koi ghaibat mein… (x2)
Nahi thamtay hain us ki aankh se aansoo kisi surat (x2).
Usay besheer ka (x2) jab muskurana yaad aata hai.
Koi ghaibat mein… (x2)
Pidar ki godh ki khaatir Sakina jab bhi roti hai (x2).
Wo lori baap ke (x2) lehjay mein beti ko sunata hai.
Koi ghaibat mein… (x2)
Khayal aata hai jab bhi parda-e-Zainab ka Mehdi ko (x2).
Kabhi talwaar par (x2) wo haath rakhta hai hathata hai.
Koi ghaibat mein… (x2)
Wo Hujjat hai usi ka kaam hai is dard ko sehna (x2).
Kisi khaaki ke dil mein (x2) kaun ye gham kab samata hai.
Koi ghaibat mein baitha…
Check out other Noha from Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/mir-hasan-mir/
Mir Hasan Mir’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/MirHasanMir