Kyun Na Roye Sajjad
Sajjad rehaayi paa kar bhi.
Pardes se ghar ko aa kar bhi.
Jab ashk bahaatay rehtay thay.
Zainab se dukh dekhay na gayay.
Ek roz tadap ye poocha.
Sajjad tu kab tak royega.
Us waqt mere mola ne kaha.
Amma apne muqaddar par.
Sughra ke sawaalon par.
Kyun na roye Sajjad.
1. Aye meri phupi insaf to kar.
Nezay pe jo dekhay baap ka sar.
Ho saath safar mein wo jis ne.
Cheera tha Ali Akbar ka jigar.
Durroan ki, saza milti ho jahan.
Bachoan ko ashk bahanay par.
Kyun na roye Sajjad…
2. Tum chup chup kar khoo’n roti ho.
Main rou’oon to kyun kehti ho.
Roya na karo aye laal mere.
Bhai ko gawa kar bethi hoon.
Masoom behan ko zindaa’n mein
Jo chor ke tanha aaya ghar.
kyun na roye…
3. Nezay se gira Abbas ka sar.
Main dekh chuka hoon wo manzar.
Darbaar mein main kyun mar na gaya
Jab naam tumhara le le kar.
Kehta tha, layee’n Zainab hai kahan.
Le aao yahan par be chaadar.
Kyun na roye Sajjad…
4. Sab qatl huay main zinda tha
Beemar sahi ladh sakta tha.
Sharminda hoon main Asghar se
Wo teer-e-sitam se ladh to gaya.
Wo teer, mere kyun kar na laga.
Jis teer se ghaayal tha Asghar.
Kyun na roye Sajjad…
5. Kyun saamnay Sughra ke jaaun.
Behtar to yehi hai mar jaaun.
Tum zinda ho Akbar na raha
Wo poochay to kya batlaaun.
Kya sabr, karoon kya zabt karoon.
Hai zakhm bohat dil ke andar.
Kyun na roye Sajjad…
6. Sar tasht mein tha baba ka rakha.
Aur takht pe qaatil betha tha.
Dandaan-e-mubarak par un ke.
khush ho ke chadee wo maarta tha.
Afsos, main kuch bhi kar na saka.
Ab tak hai usi se dard-e-jigar.
Kyun na roye Sajjad…
7. Rehan-o-Raza rotay rehna.
Is dehr mein hai jab tak jeena.
Nohoa’n ki azaanay de de kar.
Har shakhs se ye kehtay rehna.
Be gor-o-kafan maasoom behan.
Zindaa’n mein ho jis ke haathon par.
Kyun na roye Sajjad…
Check out all kalaams from Syed Raza Abbas Zaidi:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/syed-raza-abbas-zaidi-noha/
Check out Raza Abbas Zaidi’s official YouTube Channel:
https://www.youtube.com/channel/UCo_vF_Hjw4NV0mEixbeRgew