Laasha Jab Sibt-e-Payambar Ka – Katri Bawa 2010-11

Laasha Jab Sibt-e-Payambar Ka

Laasha jab Sibt-e-Payambar ka uthaaya hoga (x2).
Khuld mein chayn Muhammad ko na aaya hoga (x2).
Laasha jab sibt-e-Payambar ka uthaya hoga (x2).

1. Sar khulay lehad se tab Fatima nikli hogi (x2).
Zehr jodah ne jo Shabbar ko pilaya hoga (x2).

Laasha jab sibt-e-Payambar… (x2)

2. Kabr mein Hasan to us waqt hi utray hongay (x2).
Maa ne jab daaman-e-tatheer bichaaya hoga (x2).

Laasha jab sibt-e-Payambar… (x2)

3. Daastan Hasan ne apni jo sunaayi hogi (x2).
Maa ne ro ro ke kalejay se lagaaya hoga (x2).

Laasha jab sibt-e-Payambar… (x2)

4. Dil ke sab Hasan ne armaan nikaalay hongay (x2).
Sehra Qasim ko khayaaloan mein lagaaya hoga (x2).

Laasha jab sibt-e-Payambar… (x2)

5. Jo ke maadar ke janaazay pe na ghar se nikli (x2).
Kaisay beemaar unhain shaam mein laaya hoga (x2).

Laasha jab sibt-e-Payambar… (x2)

Lasha jab sibt-e-Payambar ka uthaaya (x2).

Check out all the nohas by Ustad Akbar Abbas (Katri Bawa)
https://52.64.252.41/category/noha/katri-bawa/

Check out official YouTube channel of Ustad Akbar Abbas
https://www.youtube.com/@AkberAbbasKatriBawaOfficia-i8f

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.