Heartbreaking Noha: Maqtal-e-Imam Hussain – Mir Hasan Mir 2019-20

Maqtal-e-Imam Hussain (A.S)

Ghareeb-e-Zehra ki ghurbat suno aye ahl-e-aza (x2).

Akela reh gaya maqtal mein jab mera mola.
Sipah-e-sham ne chaaro’n taraf se gher liya.
Lab-e-furat tha har aik khoon ka pyaasa.
Tha ghul charag-e-Imaamat abhi bujhana hai.
Arey zami’n pe zeen se Shabbir ko girana hai.
zami’n pe zeen se Shabbir ko girana hai.

Yeh sun ke sang kisi ne jabeen par maara.
Kisi ne pehlu mein barchi ka phal utaar diya.
Arey kisi ne samnay aa kar chalayi taig-e-jafa.
Ghareeb-e-Zehra ka zee’n par sambhalna mushkil tha.
Ali-o-Zehra ko ran mein rulaaya jaata tha.
Arey Hussain girtay nahi thay giraya jaata tha.
Hussain girtay nahi thay giraya jaata tha.

Laga jo teer to Asghar ko Sheh ne yaad kiya.
Pukara Ghazi ko jis waqt sar pe gurz laga.
Lagi jo barchi to Akbar ko di tarap ke sada.
Tamacha kholi ne maara to bolay ya Zahra.
Ali ko yaad kiya sar pe zarb chaltay huay.
Hasan ko yaad kiya muun se khoo’n ugaltay huay.
Hasan ko yaad kiya muun se khoo’n ugaltay huay.

Zamee’n pe zeen se Hazrat jo muun ke bal aaye.
Jo teer seenay mein thay pusht se nikal aaye.
Nikal ke pehlu se sab barchiyo’n ke phal aaye.
Karaar kis tarha’n ab Sheh ko aik pal aaye.
Raqabei’n pairo’n se Ibn-e-Ali ki chhooth gayi.
Tamaam pasliyaa’n sibt-e-Nabi ki toot gayi.

Raqam kiya hai ye (x2) raavi ne dard ka manzar.
Ke chalnay waala tha jis dum Hussain par khanjar.
Arey behan se aagay khadi thi Hussain ki dukhtar.
Kaha ye shimr se us dam ghareeb ne ro kar.
Meri Sakina kaheen dum na tod de zaalim.
Tu reham kar meray baalo’n ko chor de zaalim.
Tu reham kar meray baalo’n ko chor de zaalim.

Pada tha dasht mein be jaa’n Batool ka beta.
Hussain zinda hain kya shimr se kisi ne kaha.
Kareeb ja ke ye di shimr ne phir hans ke sada.
Arey woh dekho aa gayi maqtal mein Saani-e-Zehra.
Ye suntay hi Shah-e-Dilgeer uth ke baith gayay.
Behan ke naam pe Shabbir uth ke baith gayay.

Ye keh ke aagay badha haath mein liye khanjar.
Udhar tadapnay lagi aik laash darya par.
Idhar khayaam se nikli Batool ki dukhtar.
Ajeeb be adabi shimr ne ye ki aa kar.
Arey zara si bhi na murawwat dikhaayi zaalim ne.
Kaalam-e-paak ko thokar lagaayi zaalim ne.

Ajab tarhan se sitamgar ye kar raha tha sitam.
Kabhi Hussain ki zulfoa’n mein haath thay baaham.
Pakad ke reesh-e-mubarak kabhi hansa azlam.
Hataaya baloan ko khanjar se shimr ne ik dum.
Kaha Hussain ne dekho zara Ali Akbar
Laeen ne rakh diya zaano hamaray seenay par.

Chali jo zarb farishto’n ne moo’n ko pher liya.
Farishtay kya thay ke nabiyo’n ne moo’n ko pher liya.
Aray hatay Nabi to Rasoolo’n ne moo’n ko pher liya.
Chalay Rasool to waliyo’n ne moo’n ko pher liya.
Hasan Rasool Ali bolay ab Khuda jaanay.
Hussain jaanay gala jaanay Fatima jaanay.

Ab is ke aagay Takallum bayaan kya hoga.
Lagee jo zarbain na nikla lahoo ka ik qatra.
Laeen gaiz mein aa kar sada ye denay laga.
Hussain jaldi bata mojiza hai ye kaisa.
Kaha ghareeb ne tu pyaar maa ka kya jaanay.
Galay pe meray gala rakh diya hai Zahra ne.

Kaha Hussain ne amma hata lain apna gala.
Aray mazeed aap hon zakhmi ye ho nahi sakta.
Galay pe Shah ke khanjar laeen ka jo chala (x2).
Sadaayain aati thi Subhana Rabbiyal Aala.
Pisar ka khoon baha Sayyeda ki godi mein.
Sar-e-Hussain kata Fatima ki godi mein.

Check out other Noha from Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/mir-hasan-mir/

Mir Hasan Mir’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/MirHasanMir

Maqtal e Imam Hussain (A.S)

Check Also

Mera Muslim Akela Hai - Mir Hasan Mir 2020-21

Muslim Akela Hai – Mir Hasan Mir 2020-21

Muslim Akela Hai Haaye Muslim Haaye Muslim (x4) Kaha Shabbir ne Ghaazi wo dekho jaanib-e-KoofaMera …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.