Mere wird-e-lab hai Nabi Nabi.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
Mera dil makaan-e-Habeeb hai.
Main mareez-e-ishq-e-Rasool hoon.
Main mareez-e-ishq-e-Rasool hoon.
Wo Habeeb mera tabeeb hai.
Mere wird…
1. Mera us galee se hai raabta.
Jahaan sar jhukatay hain ambiyaa.
Mera us galee se hai raabta.
Jahaan sar jhukatay hain ambiyaa.
Jahaan rehmaton ka nuzool hai.
Jahaan rehmaton ka nuzool hai.
Wo jo arsh-e-haq ke kareeb hai.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
Mera dil makaan-e-Habeeb hai.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
2. Main bada ameer-o-kabeee hoon.
Shah-e-do sara ka aseer hoon.
Main bada ameer-o-kabeee hoon.
Main bada ameer-o-kabeee hoon.
Shah-e-do sara ka aseer hoon.
Dar-e-Mustafa ka fakeer hoon.
Dar-e-Mustafa ka fakeer hoon.
Mera rif’aton main naseeb hai.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
Mera dil makaan-e-Habeeb hai.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
3. Main gham-o-alam mein hoon mubtila
Koi kya karega meri dawa.
Main gham-o-alam mein hoon mubtila
Koi kya karega meri dawa.
Mera do jahaan mein tere siwaa.
Mera do jahaan mein tere siwaa.
Shah aur kaun tabeeb hai.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
Mera dil makaan-e-Habeeb hai.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
4. Wo bhi khoob din thay malaaika.
Mere saamnay thay jo sar nigoon.
Wo bhi khoob din thay malaaika.
Mere saamnay thay jo sar nigoon.
Wo mera urooj-e-kamaal tha.
Wo mera urooj-e-kamaal tha.
Ye zawaal kitna ajeeb hai.
Mere wird-e-lab hai Nabi Nabi.
Mera dil makaan-e-Habeeb hai.
Main mareez-e-ishq-e-Rasool hoon.
Wo Habeeb mera tabeeb hai.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
Mere wird e lab hai Nabi Nabi.
Check out other Naat Sharifs by Qari Waheed Zafar Qasmi Sahab:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/naat-e-rasool/qari-waheed-zafar-qasmi/
Some more information about the reciter:
https://en.wikipedia.org/wiki/Waheed_Zafar_Qasmi