Midhat-E-Haider mere lab par zara aanay to do. (x2)
Daad mujhko phir tumhara dil agar maanay to do.
Midhat-E-Haider mere lab par zara aanay to do.
Hosh main aajayengi fauran sipah-e-bad sifaat. (x2)
Tum mohibbaan-e-Ali ko josh mein aanay to do.
Midhat-E Haider (A.s.)…
Khud ba khud phirtay nazar aayengay tufaanoan ke rukh. (x2)
Tum fizaa main parcham-e-Abbas lehraanay to do.
Midhat-E-Haider (A.s.)…
Kaun roya kaun soya sab pata chal Jaayega. (x2)
Tum shab-e-hijrat ka kissa hum ko dohranay to do.
Midhat-E-Haider (A.s.)…
Dekhna kaisa tawaana hoga ye laagar mareez. (x2)
Majlis-e-Sheh ka tabarruk tum isay khaanay to do.
Midhat-E-Haider (A.S.)
Saaf aayega nazar maidaan taa hadd-e-nazar. (x2)
Hazrat-E-Abbas ko maidaan main aanay to do.
Midhat-E-Haider (A.s.)…
Daad mujhko phir tumhara dil agar maanay to do.
Midhat-E-Haider mere lab par zara aanay to do.
Checkout all the kalaams from Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/tag/mir-hasan-mir/
Official website of Mir Hasan Mir:
https://www.MirHassanMir.com