Mimber Jaanay Haider Jaanay – Mir Hasan Mir

Cher diya hai zikr-e-Maula mimber Jaanay Haider Jaanay.
Cher diya hai zikr-e-Maula mimber Jaanay Haider Jaanay.
Kufr hai gar ye ishq Ali ka Kaafar Jaane Haider Jaane.

Bint-e-Asad to jaayengi har haal mein kaabay kai andar. (x2)
Dar hogi deewaar kahan se maadar jaanay Haider jaanay.

Ismaeel ye soch rahay thay kyun gardan par haath rakhun.
Naam-e-Ali hai mere labon par khanjar jaanay Haider jaanay.

Fatha likhi hai dast-e-Khuda par ab bhi mere pyaare habeeb. (x2)
Naad-e-Aliyyan keh ke bula lain khyber jaanay Haider jaanay.

Jang-e-Uhad main mera mola shaakh se sar karta hai kalam. (x2)
Taigh falak se aaye na aaye lashkar jaanay Haider jaanay.

Ishq-e-Ali ke daaway daaron Rab ki ibadat laazim hai.
Yeh keh ker mat jaan churao mehshar jaanay Haider jaanay.

Sher-e-Khuda ka pota hai ye keh ker maa ne bhej diya. (x2)
Larta hai ab kaisay run mein Asgher jaanay Haider jaanay.

Shaam mein aur mairaj-e-nabi main aik hi lehja goya tha.
Kis ne rakha hai kis ka parda dukhtar jaanay Haider jaanay.

Mir Hasan aur Sibt-e-Jafar banda-e-Haider hain donoan.
In ke kafan par likhwa dena nokar jaanay Haider jaanay.

Haider Jaanay Haider Jaanay.
Haider Jaanay Haider Jaanay.
Haider Jaanay.

Mimber Jaanay Haider Jaanay Cover

Check Also

Wo Jo Yaad-e-Hasan Mein Basar Ho Gayi - Mir Hasan Mir 2002-03

Wo Jo Yaad-e-Hasan Mein Basar Ho Gayi – Mir Hasan Mir 2002-03

Wo Jo Yaad-e-Hasan Mein Wo jo yaad-e-Hasan mein basar ho gayi (x2).Bas wohi zindagi mo’tabar …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.