Mujh mein un ki sana ka saleeqa kaha’n.
Wo shah-e-do jaha’n wo kaha’n main kaha’n.
Mujh mein un ki sana ka saleeka kaha’n.
Wo shah-e-do jaha’n wo kaha’n main kaha’n.
Un ka mad’ha sara khaaliq-e-een-o-aa’n.
Wo Rasool-e-Zamaa’n wo kahan main kahan.
1 – Un ke daaman se waabasta meri najaat.
Un pe qurbaan meri hayaat-o-mamaat.
Main gunahgaar wo shaafa-e-aasiyaa’n.
Bekaso’n ki amaa’n wo kaha’n main kaha’n.
2 – Wo Madina nageena hai jo arsh ka.
Wo Madina bharam jo bana farsh ka.
Wo Madina jaha’n rehmat-e-be-karaa’n.
Main bhi pohnchoo’n waha’n wo kaha’n main kaha’n.
3 – Main saraapa adam wo saraapa wujood.
Un pe har dum salaam un pe har dum durood. (x2)
Wo haqeeqat main afsaana-o-daastaa’n.
Un ka main mad’ha khwaan wo kaha’n main kaha’n.
4 – Shak nahi ae Riyaz is mein hargiz zara.
Main saraapa khata wo saraapa ata.
Naam un ka rahay kyun na wird-e-zabaa’n.
Hai jo taskeen-e-jaa’n wo kaha’n main kaha’n.
Mujh mein un ki sana ka saleeqa kaha’n
Wo shah-e-do jaha’n wo kaha’n main kaha’n