Mujhe Koi Gham Nahi Hai – Sibt-e-Jafar

Mujhe koi gham nahi hai

Mujhe koi gham nahi hai magar aey Hussain tera.
Meri fiqr ki hai manzil safar aey Hussain tera.

Kya ajab tha ghair leti mujhe har tarha’n ki fiqrain. (x2)
Na jo gham rafeeq hota agar aey Hussain tera.

Kabhi kufr ke muqabil to kabhi munafiqoan ke. (x2)
Raha sar bakaf hamesha padar aey Hussain tera.

Isay apnay khoo’n se tu ne nayi zindagi ata ki. (x2)
Hai ye deen Mustafa ka shajar aey Hussain tera.

Na ameer-e-shaam baaqi na wo taaj-o-takht-e-shahi.
Hai diloa’n pa ab bhi lekin asar aey Hussain tera.

Kisi hukmuraa’n ka sadqa na muballigoan ki koshish. (x2)
Hai ye deen ki bahaarain samar aey Hussain tera.

Aey jina ke shahazaday tu zameen par aa gaya kyun. (x2)
Ke musalsal ibtila hai safar aey Hussain tera.

Kabhi dosh par Nabi ke kabhi nok par ani ke. (x2)
Raha auj par hamesha qamar aey Hussain tera.

Hui kehkasha’n si roshan sar-e-raah-e-Shaam-o-Kufa.
Gaya sar ba nok-e-naiza jidhar aey Hussain tera.

Na to aank par hai patti na hi haath mein hai raasha. (x2)
To Khaleel dekhtay hain jigar aey Hussain tera.

Kya ajab tha paa-e-Asghar se ubalta khoo’n ka chashma. (x2)
Agar ehdiyaa’n ragarta pisar aey Hussain tera.

Sar-e-hashr mere aaqa tu hi ye bhi dhiaan rakhiyo. (x2)
Ke hai soz-o-khwan-o-shayir kidhar aey Hussain tera.

Na dubara haazri gar ho naseeb-e-Sibt-e-Jafar.
To phir us ki samt se ho guzar aey Hussain tera.

Mujhe koi gham nahi hai magar aey Hussain tera.

For more kalaams from Shaheed Sibt-e-Jafar Zaidi, check out:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/soz-o-salaam/sibt-e-jafar/

Check Also

Kehti Thi Bano Asghar Jani - Ustad Sibte Jafar Shaheed

Kehti Thi Bano Asghar Jani (Soz) – Ustad Sibte Jafar Shaheed 2012

Kehti Thi Bano Asghar Jani کہتی تھی بانو اصغر جانی کب تم گھر میں آؤ …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.