Na bhool kar bhi kabhi tum kisi ki baat karo (x2).
Ali ka zikr karo bas Ali ki baat karo (x2).
Na bhool kar bhi…
1. Kisi ka nafs kisi ka wasi kisi ka Khuda (x2).
Ye sab sifaat ho jis mein usi ki baat karo.
2. Ali ke naksh-e-kadam ka main zikr karta hoon.
Tum us ke saath hi dosh-e-Nabi ki baat karo.
3. Ye zikr zikr-e-Nabi hai yehi hai zikr-e-Khuda.
Ali ke hotay huay kyun kisi ki baat karo.
4. Lehad mein meri andhera ho gair mumkin hai.
Jahan Ali ho wahan roshni ki baat karo.
Ali ka zikr karo bas Ali ki baat karo.
Na bhool kar bhi…
5. Azal se saaqi-e-kausar se hoon main waabasta.
Na meray aagay kisi tishnigi ki baat karo.
6. Hai waqt naza ka baadi pa aayay hain Mola.
Kahan ki maut bas ab zindagi ki baat karo.
7. Sar-e-niyaaz jhuka do Ali chaukhat par.
Guroor-o-naaz se phir bandagi ki baat karo.
8. Samajh mein aana sakay ga kabhi Ali ka maqaam.
Na is tarhan kabhi deewangi ki baat karo.
9. Farishton kaisa sawal-o-jawab turbat mein (x2).
Ab aa gaye ho to betho Ali ki baat karo.
To read and listen all other kalaams from Ustad Pyare Khan click here:
http://www.abulhasanlakhani.com/tag/ustad-pyare-khan/