Naam shakl aur seerat sab hi Murtaza ki hai.
Noor kibriya ka hai khaak hai na khaaki hai.
Naam hai Ali in ka sab pukartay hain Reza. (x2)
Baat in ki jo bhi hai saari Mustafa ki hai. (x2)
1. Tujh ko aal-o-Qura’an ki maarifat nahi mamoon. (x2)
Do jaha’n ki har naimat shah-e-do sara ki hai. (x2)
2. Taaj-o-takht-e-Abbasi aur arab ajam hain kya. (x2)
Kaayinaat hi saari jab Ali Reza ki hai. (x2)
3. Dair to lagi hogi mostarad hui na kabhi. (x2)
Aap ke waseelay se jab kabhi dua ki hai. (x2)
4. Hum pohanch ke Mashhad mein aur kya dua kartay. (x2)
Manqibat ki surat mein arz-e-modda’aa ki hai. (x2)
5. Mubtila-e-hirs-o-hawas aur na khaayif-e-mehshar. (x2)
Hum pa khaas nazr-e-karam Bibi Fatima ki hai. (x2)
6. Jis mein baala dasti hai ab bhi Aal-o-Qura’an ki. (x2)
Aik hi wo dunya mein mumlikat Reza ki hai. (x2)
Naam shakl aur seerat sab hi Murtaza ki hai.
Noor kibriya ka hai khaak hai na khaaki hai.