Pila Ke Sajday Ko (Salaam) – Abu Turab Naqvi 2021

Pila Ke Sajday Ko Aab e Hayaat Maqtal Mein

Pila ke sajday ko aab e hayaat maqtal mein (x2)
Hussain de gaye khanjar ko maat maqtal mein (x2)

Adab se aayatein bethi hain sar jhukaaye huay (x2)
Padha raha hai koi deeniyaat maqtal mein (x2)

Main apni fiqr ki aankhon ko kaisay band karoon (x2)
Khuli hui hai kitaab e sifaat maqtal mein (x2)

Kuch aisi shaan se nikla hai Saani e Haider
Kadam mila ke chalay mojizaat maqtal mein

Ali ka sher jo chullu ko band kar leta (x2)
Tadap ke mar gayi hoti furaat maqtal mein

Azaan de ke hatay bhi na thay Ali Akbar
Ke Hurr ko mil gayi raah e najaat maqtal mein

Abhi to aayeinge Asghar jihaad e Akbar ko (x2)
Abhi bhi baaki hai kuch mojizaat maqtal mein

Usi mujaahid e Akbar ka naam hai Asghar
Jo hans ke karta hai teeroan se baat maqtal mein

Sar e Hussain sina par uthaaye hain qaatil
Lo pooray kad se khadi hai hayaat maqtal mein

Usi ke saaye mein thehra hai din qayamat ka
Guzaar di hai jo Zainab ne raat maqtal mein

Ada hua tha jab Irfan aakhri sajda
Khadi thi saktay mein kul kaayinat maqtal mein (x2)

Pila ke sajday ko…

Check out more kalaam by Brother Abu Turab Naqvi at
https://youtube.com/@abutuanaqvi2793

Check out other beautiful soz o salaam from brother Abu Turab Naqvi on our website
https://www.abulhasanlakhani.com/category/soz-o-salaam/abu-turab-naqvi/

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.