Qaid Khanay Say Sakina – Mir Hasan Mir 2017

Qaid Khanay Say Sakina Ki Ye Aati Thi Sada

Haaye Sakina (x3)

Haaye Haaye.
Samajh ke Zehra sataya gaya Sakina ko.
Kadam kadam pe rulaya gaya Sakina ko.
Woh zakhm aaj bhi taaza hain.
Pusht-e-naaka se gir rahi hai.
Giraya gaya Sakina ko.
Haaye Haaye.

Qaid khanay se Sakina ki ye aati thi sada.
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.

Mujh ko chaltay huay naakay se giraya baba.
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.

Ho gayi chaar baras mein hi Sakina Zehra.
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.

Qaid Khanay Say Sakina Ki Ye Aati Thi Sada
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.

1. Woh bhi dada se chupaati rahi apna pehlu.
Mujhse bhi dekhay na jayainge Ali ke Aansu (x2).
Jeetay ji meray mera zakhm na dekhain bhayya.
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.
Qaid Khanay Say Sakina…

2. Kaisay aayi hoon main baazaar se ho kar baba.
Mujhko maaray gaye is zakhm pe patthar baba (x2).
Ro ke main kehti rahi phir bhi kisi ne na suna.
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.
Qaid Khanay Say…

3. Ab samajh sakti hoon kis tarhan woh soti hongi.
Haath pehlu pe rakhay kaisay tadapti hongi.
Karwatain dard mujhe bhi nahi lenay deta.
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.
Qaid Khanay Say…

4. Hu-bahu Fatima Zehra se zayeefi chhaayi.
Jhurriyaan chehray pe baalon mein safaydee aayi (x2).
Haaye ik kami baaki thi woh bhi hui poori baba.
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.
Qaid Khanay Say…

5. Saath suraj ke ye dil doob raha hota hai.
Amma kehti hai yehi waqt-e-dua hota hai (x2).
Roz karti hoon sar-e-shaam main marnay ki dua.
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.
Qaid Khanay Say…

6. Ja ke jannat mein bhi aaram nahi aayega.
Kya ye armaan mera dil mein hi reh jaayega.
Kaisay godi mein uthaongi main Asghar ko bhala.
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.
Qaid Khanay Say…

7. Aap ka sar jalay daaman mein uthanay ke liye.
Haath darbaar mein mushkil se uthaaye main ne (x2).
Hai tum ko us waqt bhi main ne na bataya baba.
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.
Qaid Khanay Say…

8. Gir padi khaak pe namoos-e-Nabi peet ke sar.
Qaid khanay main hui aur qayamat Akbar.
Le ke sar baap ka bachi ne jo ro ro ke kaha.
Pasliyaan toot gayi meri bhi daadi ki tarhan.
Qaid Khanay Say…

http://www.abulhasanlakhani.com/tag/mir-hasan-mir/

Check Also

Mera Muslim Akela Hai - Mir Hasan Mir 2020-21

Muslim Akela Hai – Mir Hasan Mir 2020-21

Muslim Akela Hai Haaye Muslim Haaye Muslim (x4) Kaha Shabbir ne Ghaazi wo dekho jaanib-e-KoofaMera …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.