Ya Ali. Ya Ali. (x2)
Saahib-e-Zulfiqar Al-Madaday. (x2)
Kaam mushkil hai ba imdaad-E-Khuda kardunga.
Aaj main ishq ka tufaan bapa kardunga.
Karne do mujhe saaqi-e-Kausar ki sana. (x2)
1 – Raaz Allah ki tawheed hai hum raaz Ali.
Kibriyaee ki daleelon ka hai aaghaz Ali.
Dil-e-be-dil se jo nikli hai woh aawaaz Ali.
Aasmaa’n saaz zameen saaz bashar saaz Ali.
Kaaray takhleek ba taayeed-e-ahad karta hai.
Ye woh banda hai jo khaalik ki madad karta hai.
Karne do mujhe…
2 – Mimbar-e-Aalam-e-Imkaa’n ka khateeb-e-aazam.
Bolta tha to thehar jaatay thay lamho’n ke kadam.
Mera is baat pe imaan hai Qur’aan ki kasam.
Ladhkhadhata na jo kamzarf nusairi us dum.
Apnay huub daaro’n ko nabio’n se badha dete Ali.
Aik ik shakhs ko Salman bana detay Ali.
Karne do mujhe…
3 – Wahi Jibreel hi laatay thay ye imaa’n hai mera.
Is ravish par bhi zara sochiye ae ahl-e-wilaa.
Aagay sidra se farishta ye nahi ja sakta.
Phir ye Qur’aan bhala kis ki badaulat pohncha.
Nutq Allah ka Maula mere ban jaatay thay.
Jo Ali kehtay thay Jibreel wahi laatay thay.
Karne do mujhe…
4 – Jis ki marzi hai muqaddar wo sikandar hai Ali.
Jis se saadir huay Masoom wo masdar hai Ali.
Jis ka mehkoom hai kausar woh samandar hai Ali.
Jo hai tauheed ka izhaar wo mazhar hai Ali.
Jo bhi parda shab-e-meraaj ka sarkaaye ga.
Usko Allah nahi Haidar hi nazar aayega.
Karne do mujhe…
Ae azadaaron humain phir se sambhalna hoga.
Apne kirdaar se maahol badalna hoga.
Tod kar waqt ki zanjeer nikalna hoga.
Raah-e-Salman pe imaan se chalna hoga.
Hum muhibbo’n pe jo wa zulm ka darwaaza hai.
Ye Ali ko na samajhne ka hi khamyaza hai.
Karne do mujhe…
Madh-e-Haider main Takallum ye taqaiyya kaisa.
Maslehat kaisi anaa kaisi bahaana kaisa.
Waqt ke saath aqeeday ko badalna kaisa.
Maut aani hai to phir maut se khatra kaisa.
Band ye ishq ka darwaaza nahi kar sakta.
Mai Ali par koi samjhauta nahi kar sakta.
Karne do mujhe saaqi-e-Kausar ki sana.