Mila Nahi Tera Seena Sakina Zinda Hai
ملا نہیں تیرا سینہ سکینہ زندہ ہے
Poet: Janab Ahsan Mujtaba
Haaye Sakina Haaye Sakina (x2)
Haaye Sakina Haaye Sakina (x2)
Mila nahi tera seena [Sakina zinda hai (x2)]
Tamaanchay kha ke bhi baba…
Tamaanchay kha ke bhi baba Sakina zinda hai
Mila nahi tera seena Sakina zinda…
Laee’n ne durr ko utaara nahi hai khencha hai (x2)
Usay bataaiyye bhayya…
Usay bataaiyye bhayya Sakina zinda…
Mila nahi tera seena Sakina zinda…
Wo dekh aayi hai Baba ki laash maqtal mei (x2)
Na jaane kaisay Khudaya…
Na jaane kaisay Khudaya Sakina zinda…
Mila nahi tera seena [Sakina zinda… (x2)]
Katay saro ki sada thi ye shaam e gurbat mei (x2)
Na maar shimr Khudara…
Na maar shimr Khudara Sakina zinda…
Mila nahi tera seena [Sakina zinda… (x2)]
Wo nok e naiza se Asghar ka sar giratay thay (x2)
Kabhi jo dekhna hota…
Kabhi jo dekhna hota Sakina zinda hai
Mila nahi tera seena [Sakina zinda (x2)]
Usay Batool se nisbat hai dard sehnay mein (x2)
Ke neela ho gaya chehra…
Ke neela ho gaya chehra Sakina zinda…
Mila nahi tera seena [Sakina zinda… (x2)]
Hain us ke chaaro taraf us ke baap ke qaatil (x2)
Sitam ki bheedh mein tanha…
Sitam ki bheedh mein tanha Sakina zinda…
Mila nahi tera seena [Sakina zinda… (x2)]
Wo baar baar usay oont se giraata raha (x2)
Laee’n dekh raha tha…
Laee’n dekh raha tha Sakina zinda…
Mila nahi tera seena Sakina zinda…
Bazaar e shaam mein gash kha ke jab gira Abid (x2)
Ye sun ke hosh mein aaya…
Ye sun ke host mein aaya Sakina zinda…
Mila nahi tera seena [Sakina zinda hai (x2)]
Hai siskiyon ki sada ab bhi shaam mein Ahsan (x2)
Abhi bhi lagta hai aisa…
Abhi bhi lagta hai aisa Sakina zinda hai
Mila nahi tera seena [Sakina zinda hai (x2)]
Check out other nohas and kalaams from Kazmi Brothers
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/kazmi-brothers/
Kazmi Brother’s YouTube Channel
www.youtube.com/@kazmibrothers1107