Shabbir Agar Teri
(Na dil rota na gham hota
Na aisa kaheen maatam hota) x2
Shabbir agar teri azadaari na hoti (x2)
Shabbir agar… (x2)
Mazloom ki dunya mein (x2)
Tarafdaari na hoti
Shabbir agar… (x2)
Shabbir ka maqsad jo samajh leta zamaana (x2)
Qur’aan ko samajhnay mein (x2)
Ye dushwaari na hoti
Shabbir agar… (x2)
Kya faaida aankhon ka reh jaata zara socho (x2)
In aankhon mein Mola ki (x2)
Jo ghamkhwaari na hoti
Shabbir agar… (x2)
Shabbir ke rozay pe kuch roz jo rehtay (x2)
Tum ko kabhi jannat ki (x2)
Talabgaari na hoti
Shabbir agar… (x2)
Do roz bhi jannat mein rehna hamain mushkil tha (x2)
Zehra tere bachoan ki (x2)
Jo sardaari na hoti
Shabbir agar… (x2)
Ghaazi tere jaisa jo Alamdaar na hota (x2)
Dunya mein alam hotay (x2)
Alamadaari na hoti
Shabbir agar… (x2)
Sharminda Sakina se agar hota na paani (x2)
Ye rasm sabeeloan ki (x2)
Kabhi jaari na hoti
Shabbir agar… (x2)
Naamoos-e-Muhammad ko jo pehchaanti dunya (x2)
Zainab ke khulay sar pe (x2)
Ye sang baari na hoti
Shabbir agar… (x2)
Jannat mein kadam rakhtay nahi Sarwar-o-Rehan (x2)
Jannat mein jo Mola ki (x2)
Azadaari na hoti
Shabbir agar… (x2)
Mazloom ki dunya mein (x2)
Tarafdaari na hoti
Shabbir agar teri azadaari na hoti
Check out other Noha from Syed Nadeem Raza Sarwar:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/nadeem-sarwar/
Nadeem Sarwar’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/user/syednadeemsarwar