Sughra Ko Rulata Hai – Hasan Sadiq 1998-99

Sughra Ko Rulata Hai

Sughra ko rulata hai ye chaand muharram ka.
Sughra ko rulata hai ye chaand muharram ka (x2).
Jab saamnay aata hai (x2). Ye chaand muharram ka.

Sughra ko rulata hai…

Hum surat-e-Zehra se bhai ke bichadnay ki.
Khatoon-e-qayamat ke ghar baar ujadnay ki.
Ghar baar ujadnay ki.
Rudaad sunata hai. Ye chaand muharram ka.

Sughra ko… (x2).

Kaata hai gala logoan seh roz ke pyaase ka.
Pamaal hua laasha Ahmed ke nawasay ka.
Ahmed ke nawasay ka.
Har ek ko batata hai. Ye chaand muharram ka.

Sughra ko… (x2)

Tasveer dikhata hai Ahmed ki jawani ki.
Har shakhs ko dunya mein karbal ki kahani ki.
Karbal ki kahani ki.
Tafseer batata hai. Ye chaand muharram ka.

Sughra ko… (x2).

Karbal ki ziyarat ko jo aankh tarasti thi.
Shabbir tere gham mein jo aankh barasti thi.
Jo aankh barasti thi.
Us ankh ko bhaata hai. Ye chaand muharram ka.

Sughra ko… (x2).

Imran ko Shabbar ko khatoon-e-qayamat ko.
Haider ki kasam mazhar Sarkar-e-Risaalat ko.
Sarkar-e-Risaalat ko.
Turbat mein rulata hai. Ye chaand muharram ka.

Sughra ko… (x2).

Jab saamnay aata hai (x2). Ye chaand muharram ka.
Sughra ko… (x2).

Check out other nohas from Hasan Sadiq here:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/hasan-sadiq/

Check our Hasan Sadiq’s official Youtube Channel:
https://www.youtube.com/hassansadiqofficial

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.