Suraj ye keh ke deen ka ubhra ghadeer mein.
Takmeel aaj paayega kalma ghadeer mein.
Elaan-e-Jibraeel ye goonja ghadeer mein.
Maula banaaye jaatay hain Maula ghadeer mein.
Bazoo buland kar ke dikhatay rahay Rasool. (x2)
Andhoan ne phir bhi kuch nahi dekha ghadeer mein. (x2)
Sadiyoan ka faasla hai mere un ke darmiyaan. (x2)
Lekin main jaanta hoon ke main tha ghadeer mein.
Quraa’n ki aayatoan ka safar intiha pe tha.
Thi ibtida pe nahj-e-balagah ghadeer mein.
Rasta bhatak gaya tha musafir ghadeer ka.
Hur bas zara si dair se pohncha ghadeer mein.
Ishq-e-Ali mein hota taqayya agar haraam.
Aayat kabhi badalti na lehja ghadeer mein.
Lekin main jaanta hoon ke main tha ghadeer mein.