Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhoon.
Imam-ul-Ambiya dekhoon Habeeb-e-Kibriya dekhoon.
Wo jin ke dum qadam se subh ne bhi roshni paayi.
Munawwar kar di jis ne fiza woh rahnuma dekhoon.
Wo jin ki barkaton se abr-o-baara bastay aalam mein.
Tamanna qalb-e-muztar ki woh durr-e-be baha dekhoon.
Qadam baahir Madina se tasawwur mein Madina hai.
Ilaahi, ya Ilahi azmaton ki intiha dekhoon.
Ye duniya be-subaat-o-bewafa-o-gham ka gehwaara.
Ye hai matloob daar-e-be-wafaayi mein wafa dekhoon.
Woh mabda khalq-e-‘aalam ka durood un par salaam un par.
Mere maula ye mauqa de ke khatm-ul-Ambiya dekhoon.
Kabhi ho husn ke mehfil kabhi ho shauq ka manzar.
Kabhi aansoo ki zanjeeron mein aashiq ki sada dekhoon.
Rasool-un-Qasim-ul-khairaati fid dunya wa fil uqba.
Shafiq az nafs-e-ma dar ma Nabi-e-Mujtaba dekhoon.
Dar-e-jannat pe haazir hoon Rasool-e-Paak ke hamraah.
Shafa’at ka ye manzar ya khudaya mein Raza dekhoon.
Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhoon.
Imam-ul-Anbiya dekhoon Habeeb-e-Kibriya dekhoon.