Shabbir ye sab dunya tere naam se zinda hai
Ye deen Muhammad ka tere naam se zinda hai
Allah ka bhi kalma tere naam se zinda hai
Phaili hain zamanay main tauheed ki tanveerain
Goonji hain tere dum se kaunain main takbeerain
Haq tujhse hai paayinda tere naam se zinda hai
Taabeer-e-Khalil hai tu aur fakhr maseeha ka
Tu waris-e-Adam hai Musa ka tu kehna kya
Jab naam shah-e-bat’ha tere naam se…
Minni ki sanad bakhshi tujhe sarwar-e-aalam ne
Phir ye bhi kaha main hoon Shabbir tere dum se
Shabbir tera nana tere naam se…
Fitrus to farishta tha Hurr ko bhi amaa’n di hai
Jaa’n Ibn-e-Mazaahir ko aur deen ko bakhshi hai
Ye deen-e-Nabi haq ka tere naam se…
Wal fajr main tu shaamil tat’heer main tu shaamil
Kausar ki mawaddat ki tafseer main tu shaamil
Wal Asr ka bhi sura tere naam se…
Aehad-e-Nabawi Alawi daur-e-Hasani ke baad
Islam tan-e-be jaan iksath hijri ke baad
Tere naam se zinda tha tere naam se…
Baiyat bhi na le paaya sar bhi na jhuka paaya
Zaalim ko kiya ruswa sarwar ne sar-e-naiza
Qur’aan bhi ae Aaqa tere naam se…
Ummat pa Muhammad ki hua shaitaanoan ka raaj
Makka bhi Madina bhi tere baad huay ta raaj
Ye Qibla ye Kaaba tere naam se…
Ye jo deen ka charcha hai Shabbir ka sadqa hai
Ehsaan tera hum par ye Saani-e-Zehra hai
Shabbir ka sajjada tere naam se…
Shabbir ka marsiya khwaan Shabbir ka shaayir bhi
Pehchaan yehi hai ab tere Sibt-e-jafar ki
Sad shukr tera banda tere naam se…