Umm-e-Laila sambhaal Zainab ko
Ghareeb e Zehra pa. Kya waqt hai ghareebi ka.
Garebaa’n chaak hai baalon mein khaak e karbobala.
Talaash kartay hain rasta nazar nahi aata
Ye haal dekh ke hanstay hain sheh pa ahl e jafa.
Bahan ki kaandhon pa kull kaayinaat laatay hain.
Kadam kadam pa ye awaaz detay jaatay hain.
Umm-e-Laila sambhaal Zainab Ko (x2).
La raha hoon main laasha-e-Akbar.
Umm-e-Laila sambhaal Zainab ko.
La raha hoon main laasha e Akbar.
Umm-e-Laila…
Bolay hongay Hussain ye ro kar.
Umm-e-Laila sambhaal Zainab ko.
La raha hoon…
Nojawaa’n laash hai zaeefi hai.
Meri nazron se dekh manzar ko.
Kaisay hamsheer ko sambhaloonga.
Main sambhalay huay hoon Akbar ko.
Tera ehsaan hoga ye mujh par.
Umm-e-Laila…
La raha hoon…
Is ke seenay se le ke naam-e-Ali.
Main ne barchi abhi nikaali hai.
Imtihaa’n de chuki meri ghurbat.
Ab teri be kasi ki baari hai.
Tu bhi is waqt Ya Ali keh kar.
Umm-e-Laila…
La raha hoon…
Do nageenay thay is ki jholi mein.
Dono Akbar pe kar diye sadqa.
Sabr aisa ke apnay beto’n par.
Main ne rotay isay nahi dekha.
Hai magar ab ye lasha-e-Akbar.
Umm-e-Laila…
La raha hoon…
Rok rakha hai apnay ashko’n ko.
Sab se chup chup ke aahain bharti hai.
Main samajhta hoon maadar-e-Akbar.
Teri mamta pe jo guzarti hai.
Rakh ke apnay kalejay par pathar.
Umm-e-Laila…
La raha hoon…
Aisay laash-e-jawaa’n uthaaye hoon.
Aediaan khat banaati aati hain.
In nishaano ko peechay peechay mere.
Amma Zehra mitaati aati hain.
Us ki nazrain na dekhain ye manzar.
Umm-e-Laila…
La raha hoon…
Aye Takallum wo shaam-o-Kufa ka
Teh hua hoga is tarhan se safar.
Amma Zainab sambhaalna maa ko.
Kehtay hongay sina se ye Akbar.
Aur hoga Hussain ke lab par.
Umm-e-Laila…
La raha hoon…
Umm-e-Laila…
La raha hoon…
Check out other nohas of Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/mir-hasan-mir/
Mir Hasan Mir’s YouTube Channel:
https://www.youtube.com/MirHasanMir