Un ka saani koi khaliq ne banaya hi nahi (x2).
Aisa be misl banaya hai ke saaya hi nahi (x2).
Un ka saani… koi khaliq ne banaya hi nahi.
1. Aisi tasveer jo kudrat ne bana kar bheji (x2).
Jalwa aaraayi hui parda uthaya hi nahi (x2).
2. Jab Nabi arsh pe pohnchay to malaayik bolay (x2)
Ye sharaf aur kisi ne kabhi paaya hi nahi (x2).
3. Bolay Jibreel ke ab hukm hai kya mere liye (x2).
Main ne is jaa se kadam aagay badhaya hi nahi.
Un ka saani…
4. Aaj phir taalib-o-matloob mein waaday hongay (x2).
Raaz ki baat hai gairon ko bulaya hi nahi (x2).
Un ka saani koi khaliq ne banaya hi nahi (x2).
Aisa be misl banaya hai ke saaya hi nahi (x2).