Wa Hussaina – Nadeem Sarwar 1986-87

Wa Hussaina

Darwaza-e-khaima pe liye haath mein kooza
Abbas ka Shabbir ka wo tak-ti thi rasta.
Behlaati thi dil apna wo de de dilaasa.
Ab shaam hui paani liye aayainge chaacha.
Phir khud hi woh kehnay lagi ghabra ke phuppi se.
Darya se abhi tak mere baba nahi paltay.

Aray gehray huay aashoor ko jab shaam ke saaye.
Kehti thi Sakina koi ye mujh ko bataaye.
Kyun aye phuppi amma mere baba nahi aaye
Baba nahi aaye…

1. Din doob gaya. Wa Hussaina.
Paani na mila. Wa Hussaina.
Sookha hai gala. Wa Hussaina.
Sun kar ye Sakina ka bayaa’n Saani-e-Zehra.
Kehnay lagi darya pe bohat sakht hai pehra
Paani abhi laayainge meri jaan tere baba.

2. Mashkiza liye. Wa Husaina
Darya se chalay. Wa Husaina.
Wo tere liye. Wa Husaina.
Phir kehnay lagi ro ke Sakina phupi jao.
Baba nahi aatay to chacha jaan ko bulao.
Bhayya Ali Akbar hai kahan kuch to batao.

3. Lagta hai mujhe. Wa Husaina.
Sab rooth gaye. Wa Husaina.
Ronay se mere. Wa Husaina
Keh do ke main ab pyaas ka shikwa na karoongi.
Seenay pe bhi sonay ke liye zid na karoongi.
Paani nahi milta na sahi ashk piyoongi.

4. Sun lo ye sada. Wa Husaina.
Laut aao chacha. Wa Husaina.
Tum behr-e-Khuda. Wa Husaina.
Kyun khali pada hai Ali Asghar ke ye jhoola.
Hujray mein nazar aata nahi Qasim-e-Naushah.
Kyun khoon mein dooba hai alam mere chacha ka.

5. Dum ghutnay laga. Wa Husaina.
Seenay mein mera. Wa Husaina.
Do mujhko sada. Wa Husaina.
Chaadar ye lahoo rang tumhari hui kaisay.
Kya gham hai ke aankhon mein nazar aatay hain halkay.
Main ne to tumhain dekha nahi is tarhan rotay.

6. Kya gham hai tumhain. Wa Husaina.
Batlaao hamain. Wa Husaina.
Hum bhi to sunain. Wa Husaina.
Zainab ko bhi aakhir na raha zabt ka yaara.
Sar peet ke kehnay lagi phir Saani-e-Zehra.
Aada ne bharay ghar ko Sakina tere maara.

7. Sab maaray gaye. Wa Husaina.
Paani ke liye. Wa Husaina.
Baba bhi tere. Wa Husaina.
Ab koi nahi aayega ab sabr ki jaa hai.
Maktal mein tere pyaaron ka sar tan se juda hai.
Mardoan mein fakat Sayyad-e-Sajjad bacha hai.

8. Khamosh raho. Wa Husaina.
Ab sabr karo. Wa Husaina.
Bas ashk piyo. Wa Husaina.
Kuch dayr mein jal jaayainge khaimay bhi hamaray.
Chhin jayainge kaanoan se gohar bibi tumharay.
Kaanoan se tere khoon ke bahainge abhi dhaaray.

9. Ye zulm chala. Wa Husaina.
Aye dukhtar-e-maan. Wa Husaina.
Baandainge rasand. Wa Husaina.
Bhadhkay gi abhi aag jalay ga tera daaman.
Sar naizoan pe aur khaak pe tadpainge sabhi tan.
Shabbir ki gurbat pe bohat royega ye ban.

10. Ye baani-e-shar. Wa Husaina.
Le jaayain kidhar. Wa Husaina.
Kis ko hai khabar. Wa Husaina.
Sajjad ke pairoan main bhi zanjeer padaygi.
Ta din teri roti hui humraah chalay gi.
Chaadar na tere aur na mere sar pe rahaygi.

11. Be gor-o-kafan. Wa Husaina.
Dekhay gi bahan. Wa Husaina.
Shabbir ka tan. Wa Husaina.
Rehan Sakina ne suni dard ki takreer.
Boli ke phuppi yun bhi bigad jaati hai takdeer.
Ab kuch na kaho chaltay hain seenay pe mere teer.

Karti thi buka. Wa Husaina.
Aye ahl-e-jafa. Wa Husaina.
Kya zulm kiya. Wa Husaina.
Sun lo ye sada. Wa Hussaina.
Haaye laut aao chacha. Wa Hussaina.
Laut aao chacha. Wa Hussaina.

Check out all write-ups for Nadeem Sarwar:
http://www.abulhasanlakhani.com/tag/nadeem-sarwar/

Check Also

Sad Shukr Mere Yaarab - Nadeem Sarwar 1990-91

Sad Shukr Mere Yaarab – Nadeem Sarwar 1990-91

Sad Shukr Mere Yaarab Sajday mein sar hai halq pe khanjar ki dhaar haiBanda ye …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.