Ya Fatima ridaa mein
Ya ghareeb. Ya Hussain.
Hai Ghareeb. Hai Hussain.
Maktal mein gir raha hai (x2) sambhalo Hussain ko.
Ya Fatima ridaa mein chupa lo Hussain ko (x2).
Ya Fatima ridaa…
Maktal mein gir raha hai (x2) sambhalo Hussain ko.
Ya Fatima ridaa… (x2)
1. Paiwast hain ghareeb ke pehlu mein barchiaan.
Tum ko bhi uthnay deti nahi tooti pasliyaan.
Le kar Ali ka naam (x2) utha lo Hussain ko.
Ya Fatima ridaa… (x2)
2. Deewaar-o-dar ke beech jo armaan reh gayay.
Rakhi hui thi dil mein jo Mohsin ke waastay.
Woh loriyaan bhi aaj (x2) suna lo Hussain ko.
Ya Fatima ridaa… (x2)
3. Sola pehar ki pyaas hai aur hai laboan pe dam.
Hai de kar ghareeb betay ko Abbas ki kasam.
Paani agar milay to (x2) pila lo Hussain ko.
Ya Fatima ridaa… (x2)
4. Sheh ki ghareeb beti ke armaan ki tarhan.
Godi mein le ke teesri shaban ki tarhan.
Hai kuch der ho sakay to (x2) sula lo Hussain ko.
Ya Fatima ridaa… (x2)
5. Haider tadap rahay hain payambar hain beqarar.
Aray tum kaisay sun rahi ho sadaayain ye baar baar.
Ik shor hai zameen par (x2) gira lo Hussain ko.
Ya Fatima ridaa… (x2)
6. Achay nahi iraaday yazeedi sipaah ke.
Paaon nikal rahay hain rakaabon se shaah ke.
Ghazi nahi hain tum hi (x2) sambhaalo Hussain ko.
Ya Fatima ridaa… (x2)
7. Zainab sada ye deti hai aye beqarar maa.
Zakhmon ko mil ke baandhengi Haider ki betiyaan.
Khaimay mein aik baar (x2) bula lo Hussain ko.
Ya Fatima ridaa… (x2)
8. Ronay lagi aye Mir Takallum woh gham zada.
Phaila ke apnay haath jo Shabbir ne kaha.
Hai godi mein thodi der (x2) sula lo Hussain ko.
Ya Fatima ridaa mein chupa lo Hussain ko.
Check out other write-ups for Mir Hasan Mir
http://www.abulhasanlakhani.com/tag/mir-hasan-mir/