Ya Shah-e-Khurasan (x2)
Jin ko sab log ghareeb-ul-ghuraba kehtay hain.
Naam hai in ka Ali in ko Raza kehtay hain.
Aye laadlay Zehra ke aye Haider ke dil-o-jaan.
Ya Shah-e-Khurasan (x3)
Tu kaabay ka kaaba hai aur Quran ka Quran.
Ya Shah-e-Khurasan (x3)
(1) Paatay hain sukoon aakay sabhi dard ke maaray.
Rozay pe tumharay (x1).
Tafreek nahi koi malak ho ke ho insaan.
Ya Shah-e-Khurasan (x3).
(2) Hai aarzo jis ki usay rozay pe bula le.
Aye paalnay walay (x1).
Har aik Azaadar ka poora ho ye armaan.
Ya Shah… (x3)
(3) Masooma-e-Qum aap ki hamsheer hain Mola.
Hai waasta un ka (x2).
Kar deejiye azaadar ki sab mushkilain aasaan.
Ya Shah… (x3)
(4) Main shukr ka sajda to karunga tere dar par.
Aye waaris-e-Haider (x1).
Chaahay mujhe kaafir kahain duniya ke musalmaan
Ya Shah… (x3)
(5) Ho jaayegi nabiyon se mulakaat dubara.
Armaan hai mera (x1).
Phir mujh ko bula leejiye ik baar Khurasaan.
Ya Shah…(x3)
(6) Lehraata rahay dehr mein Abbas ka parcham.
Hota rahay maatam (x1).
Aabaad rahay Fatima Zehra ka Gulistaan
Ya Shah… (x3)
(6) Aye Musi-e-Kazim ke pisar Shah-e-Wilaayat.
Kehti hai aqeedat (x1).
Kya Mir Takallum ye zamana tere qurbaan
Ya Shah-e-Khurasan (x3).