Gham-e-Hussain Ka Maksad – Ustad Pyare Khan 2008-09 – Heartbreaking Salaam
Recited byUstad Pyare Khan· ·views

Roman English
Gham-e-Hussain ka maksad badal nahi sakta (x2).
Khayaam jal gaye paigaam jal nahi sakta.
Gham-e-Hussain ka.
1. Ye baat bhool gaye dushman-e-Abu Talib (x2).
Rasool kufr ke daaman mein pal nahi sakta.
2. Hussain zinda hai jab tak zamana baaki hai (x2).
Yazeediat ka shajar phool phal nahi sakta.
3. Wo jis ki aankh mein aansoo gham-e-Hussain ke hain.
Yaqeen hai aatish-e-dozakh mein jal nahi sakta.
4. Na Sheh ko subh-e-alam se dara shab-e-aashoor (x2).
Hussain keh dain to suraj nikal nahi sakta.
5. Nikal to aayega naawuk gulu-e-Asghar se (x2).
Magar Rubab ke dil se nikal nahi sakta.
Gham-e-Hussain…
Related Kalaam
Soz-o-SalaamChala Hai Karbala Ko – Ustad Pyare Khan 2009-10
Ustad Pyare Khan ·
Soz-o-SalaamRona Ae Apni Aqbat – Ustad Pyare Khan 2008-09 – Heartwarming Salaam
Ustad Pyare Khan ·
NaatUn Ka Saani Koi – Ustad Pyare Khan
Ustad Pyare Khan ·
ManqabatNa Bhool Kar Bhi Kabhi – Ustad Pyare Khan
Ustad Pyare Khan ·
