Kaash Abbas Na Maaray Jaatay – Agha Talib Hasan
Recited byAgha Talib Hasan· ·views

Roman English
Kaash Abbas na maaray jaatay (x2).
Kaash Abbas na maaray jaatay (x2).
1- Donoan baazu ko shehanshah-e-wafa ke thamay.
Laash-e-Abbas pe Shabbir buqa kartay thay.
Re bhai tum saath hamaray jaatay.
Kaash Abbas…
Kaash Abbas na (x2).
2- Aaj bhi aati hai ye qabr-e-Sakina se sada.
Aye chacha laati na zindaan mein yun hum ko qaza.
Saath agar hum bhi tumharay jaatay.
Kaash Abbas…
Kaash Abbas na (x2).
3- Kabhi chehra kabhi baazu kabhi seena peeta.
Qaid khanay se watan aayi to Zainab ne kaha.
Din na yun gham mein guzaray jaatay.
Kaash Abbas…
Kaash Abbas na (x2).
4- Hotay Abbas to chinti na rida Zainab ki.
Paaon mein Abid-e-Muztar ke na bedi padhti.
Taaziyanay bhi na maaray jaatay.
Kaash Abbas…
Kaash Abbas na (x2).
Ho ke paband-e-rasand Sayyad-e-Sajjad chalay.
Nehr ko dekh ke rotay huay ye kehnay lagay.
Sab watan saath hamaray jaatay (x2).
Kaash Abbas…
Kaash Abbas na maaray jaatay (x2).
Related Kalaam
NohaTu Na Aaya Ghazi – Mir Hasan Mir
Mir Hasan Mir ·
NohaHaaye Alamdaar – Mir Hasan Mir 2019-20
Mir Hasan Mir ·
NohaNa Alam Na Chacha – Syed Nasir Hussain Zaidi 1987
Nasir Hussain Zaidi · · 💬 2
NohaAlamdaar Na Aaya – Various Artists
Various Artists · · 💬 1
