Khol De Bediyaan (Salaam) – Syed Raza Abbas Zaidi
Recited bySyed Raza Abbas Zaidi· ·views

Roman English
Jo qaid ho ke chala kaarwan-e-Aal-e-Nabi.
Nazar Sakina ki Sajjad-e-na tawaan pe padi.
Ke taaziyanay bhi jis ko laga rahay thay shaki.
Tadap ke is tarhan shimr-e-layeen se kehnay lagi.
Khol de bediyaan bhai beemar hai (x2).
1. Soch behr-e-Khuda ye hai Aal-e-aba (x2).
Yuun na durray laga bhai beemar hai.
Khol de bediyaan bhai beemar hai.
2. Pehlay hi is ko gham kya diye tu ne kam (x2).
Ab na kar ye sitam bhai beemar hai.
Khol de…
3. Kya milay ga tujhay is ko yuun maar ke (x2).
Ye aziyyat na de bhai beemar hai.
Khol de…
4. Dekh aye badgumaan kar na ye sakhtiyaan (x2).
De de is ko amaa bhai beemar hai.
Khol de…
5. Jism hai khoo se tar ab to kuch rehm kar (x2).
Ye hai raah-e-safar bhai beemar hai.
Khol de…
6. Khoon rota raha Shabbar-e-be nawa (x2).
Sun ke us ki sada bhai beemar hai.
Khol de bediyaan bhai beemar hai.
Related Kalaam
Soz-o-SalaamSiskiyan Khaimo Se (Salaam) – Syed Raza Abbas Zaidi
Syed Raza Abbas Zaidi ·
Soz-o-SalaamDin Dhal Raha Hai (Salaam) – Syed Raza Abbas Zaidi
Syed Raza Abbas Zaidi ·
NohaKyun Na Roye Sajjad – Raza Abbas Zaidi 2010
Syed Raza Abbas Zaidi ·
NohaMeri Sakina Ko – Syed Raza Abbas Zaidi 2010
Syed Raza Abbas Zaidi ·
