Qaid Khaney Mein – Ali Shanawar 2017
Recited bySyed Ali Shanawar· ·views

Roman English
Qaid Khaney Mein
Baba. Baba. Baba.
Sun rahay ho sada baba jaan (x2).
Baba jaan…
Hum kahan aa gaye ghar kahan reh gaya (x2).
Qaid khaney mein noha Sakina ka tha (x2).
Hum kahan aa gaye ghar kahan reh gaya (x2).
1. Yaad aata hai guzra zamaana mujhe.
Le ke baahoan mein jhoola jhulana mujhe.
Main bulaati rahi aur na aaye chacha.
Hum kahan aa gaye… (x2).
Qaid khaney mein noha Sakina ka tha.
Hum kahan aa gaye… (x2).
2. Yaad aata hai pyaara Madina mujhe.
Phool jaisa wo baba ka seena mujhe.
Wo zamana koi phir dikha de mujhe.
Hum kahan aa gaye… (x2).
Qaid khaney…
Hum kahan aa gaye… (x2).
3. Bhai Abid ne chalna sikhaya mujhe.
Apnay haathon se khana khilaya mujhe.
Ab usi ke liye hai dawa na ghiza.
Hum kahan aa gaye… (x2).
Qaid khaney…
Hum kahan aa gaye… (x2).
4. Hai baba ko dekhay zamana hua.
Un ke seenay pe soye zamana hua.
Na tumhara pata na hamara pata.
Hum kahan aa gaye… (x2).
Qaid khaney…
Hum kahan aa gaye… (x2).
Sun rahay ho sada Baba jaan (x2)
Related Kalaam
NohaAa Asghar Bin Teray – Ali Shanawar 2019-20
Syed Ali Shanawar ·
NohaRasool-e-Akram Ka Dilruba – Ali Shanawar 2020-21
Syed Ali Shanawar ·
NohaKya Muhammad Ka Pyara – Ali Shanawar
Syed Ali Shanawar ·
NohaHaye Shaam Ka Bazaar – Nadeem Sarwar 1995-96
Nadeem Sarwar ·
