Paani Masooma Ne Maanga To Tamachay Khaye – Mir Sajjad Mir 2018-19
Recited byMir Sajjad Mir· ·views

Roman English
Paani Masooma ne maanga to tamaachay khaye (x2).
Royee Baba ko Sakina to tamachaay khaye.
Paani Masooma ne maanga to tamachay khaye.
Jaltay khaimoan se nikaltay huay us bachhi ne (x2).
Raasta poocha Najaf ka to tamaachay khaye.
Paani Masooma ne maanga to…
Cheennay aaya jo bachhee ki rida shimr-e-laeen (x2).
Is ne chaadar ko na chora to tamachay khaye.
Apnay chehray ko tamachoan se bachaanay ke liyay (x2).
Nannay haathoan se chupaaya to tamaachay khaye.
Paani Masooma ne maanga to…
Bhai ka nanna sa sar girta tha jab naizay se (x2).
Is ne godi mein uthaaya to tamaachay khaye.
Kyun meray Baba pe zaalim tu chalata hai churri (x2).
Us ne jab shimr se poocha to tamaachay khaye.
Kufa-o-shaam ke bazaar mein chaltay chaltay (x2).
Thak ke baithi jo Sakina to tamaachay khaye.
Paani Masooma ne maanga to…
Gir gayi thi wo kahin chaltay huay naakay se (x2).
Shimr jab dhoond ke laaya to tamaachay khaye.
Mir Sajjad Sakina bhi hai Zehra ki tarhan (x2).
Ho gayi jab ye yateema to tamaachay khaye.
Paani Masooma ne maanga to tamachay khaye.
Related Kalaam
NohaUtho Sakina Chalain Karbala – Mir Hasan Mir 2019-20
Mir Hasan Mir ·
NohaSakina Utho Meri Jaan Utho – Irfan Haider 2001-02
Syed Irfan Haider Rizvi ·
NohaSakina Shaam Mein Mar Kar – Nadeem Sarwar 1994-95
Nadeem Sarwar ·
NohaKarbala Walon Pe – Hasan Sadiq 1994
Hasan Sadiq ·
