Jab Kabhi Tum Gardish-e-Doraan – Ustad Pyare Khan
Recited byUstad Pyare Khan· ·views

Roman English
Jab kabhi tum gardish-e-doraan se ghabraya karo.
Parcham-e-Abbas ke saaye main aa jaaya karo.
Jab kabhi paida ho dil mein khwahish-e-khuld-e-bareen (x2).
Majlis-e-Shabbir mein aaya karo jaaya karo (x2).
Jab kabhi tum…
Khud ba khud fiqr-o-amal ki tarbiyyat ho jaayegi (x2).
Apnay bachoan se alam Ghazi ka uthwaaya karo (x2).
Jab kabhi tum…
Rizq mein wus’at milay gi barkatein badh jayeingi (x2).
Haazri-e-Hazrat-e-Abbas karwaaya karo (x2).
Jab kabhi tum…
Habs ke maahol mein jab bhi ghutan mehsoos ho (x2).
Khushbu-e-zikr-e-Ali se ghar ko mehkaaya karo (x2).
Aaye jab madd-e-muqaabil waqt ka koi yazeed (x2).
Ya Hussain Ibn-e-Ali keh keh ke thukraaya karo (x2).
Jab kabhi tum gardish-e-
Related Kalaam
ManqabatNa Bhool Kar Bhi Kabhi – Ustad Pyare Khan
Ustad Pyare Khan ·
ManqabatRehta Hai Jo Zamanay Mein – Ustad Pyare Khan 1990’s
Ustad Pyare Khan · · 💬 1
ManqabatTujhe Dekhna Hai Wuzu Mera – Ustad Pyare Khan
Ustad Pyare Khan ·
ManqabatLa Ilaha Illallah – Ustad Pyare Khan 2000s
Ustad Pyare Khan ·
