Tujhe Dekhna Hai Wuzu Mera – Ustad Pyare Khan
Recited byUstad Pyare Khan· ·views

Roman English
Tujhe dekhna hai wuzu mera.
Tera ishq meri namaz hai.
Tu hi baksh deta hai shahiyaan.
Tu bada gareeb nawaz hai.
Tujhe dekhna hai wuzu mera.
Tu ibaadaton ka sujood hai.
Tu shahadaton ka kayam hai.
Tu wilayaton ka ruku bhi hai (x2).
Tu hi la ilaah ka raaz hai.
Tu nabi ki pusht pe ho agar.
To namaz-e-haq bhi ruki rahay.
Tu Hussain hai tu Hussain hai.
Tu namaz ki bhi namaz hai.
Tu har aik cheez se be niyaaz.
Sifat-e-Khuda bhi hai be niyaaz.
Tujhe rab kahoon usay rab kahoon.
Main nahi kahoonga ye raaz hai.
Tu nabi ke kaandhay pe ho agar.
To Khuda ki marzi dikhayi de.
Tere haath mein do jahaan hain (x2).
Ke nabi ki zulf-e-daraz hai.
Tu malak ko baksh de baal-o-par.
Tu kisi ko betay ata karay.
Tere bachpanay ki zidon pe bhi.
Parwardigaar ko naaz hai.
Tujhe dekhna hai wuzu mera.
Tere matami tere nohagar.
Do jahaan mein sab se azeem hain.
Tera ziqr karna nagar nagar.
Tere matami ki namaz hai.
Tera banda Majid-e-khush nawa.
Tere dar pe sajda guzaar hai.
Ho kubooliat ki sanad ata.
Tu bada hi banda nawaz hai.
Tujhe dekhna hai wuzu mera…
Related Kalaam
ManqabatLa Ilaha Illallah – Ustad Pyare Khan 2000s
Ustad Pyare Khan ·
ManqabatNa Bhool Kar Bhi Kabhi – Ustad Pyare Khan
Ustad Pyare Khan ·
ManqabatRehta Hai Jo Zamanay Mein – Ustad Pyare Khan 1990’s
Ustad Pyare Khan · · 💬 1
ManqabatJab Kabhi Tum Gardish-e-Doraan – Ustad Pyare Khan
Ustad Pyare Khan ·
